koi bahar se koi andar andar TuT jata hai
koī bāhar se koī andar andar TuuT jaatā hai
jab insāñ aatā hai gardish kī zad par TuuT jaatā hai
agar maiñ miT gayā hālāt se to is meñ hairat kyā
musalsal choT paḌtī hai to patthar TuuT jaatā hai
sahar ke vaqt jab sūraj nikalnā chāhtā hai to
falak kī god meñ tāroñ kā lashkar TuuT jaatā hai
nahīñ hai bad-nasībī ye to is ko kyā kahā jaa.e
bhalā lagtā hai jo āñkhoñ ko manzar TuuT jaatā hai
ḳhushī kā daur aa.egā liye haiñ ḳhvāb āñkhoñ meñ
magar kyā kījiye ye ḳhvāb aksar TuuT jaatā hai
koi bahar se koi andar andar TuT jata hai
jab insan aata hai gardish ki zad par TuT jata hai
agar main miT gaya haalat se to is mein hairat kya
musalsal choT paDti hai to patthar TuT jata hai
sahar ke waqt jab suraj nikalna chahta hai to
falak ki god mein taron ka lashkar TuT jata hai
nahin hai bad-nasibi ye to is ko kya kaha jae
bhala lagta hai jo aankhon ko manzar TuT jata hai
KHushi ka daur aaega liye hain KHwab aankhon mein
magar kya kijiye ye KHwab aksar TuT jata hai
- Book : احساس کے نشاں (Pg. 57)
- Author : قمر انجم
- Publication : ایم آر پبلی کیشن (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.