koi baqi mere dil mein kahin arman hoga kya
koī baaqī mere dil meñ kahīñ armān hogā kyā
udāsī ke sivā merā koī paridhān hogā kyā
tumhārī manzileñ haiñ tum ne ḳhud mushkil baḌhā.ī hai
kisī ke saath chalne se safar āsān hogā kyā
na chiḌiyoñ kī koī aahaT na jhoñke hī havā ke haiñ
bahut lagtā hai Dar mujh ko nagar vīrān hogā kyā
ka.ī armān mujh meñ toḌ kar dam jī rahe hoñge
mujhe ḳhud dafn honā hai kahīñ shamshān hogā kyā
ġhamoñ meñ muskurā.e haiñ ġhazal hī gungunā.e haiñ
hamārā mahfiloñ meñ bhī kabhī sammān hogā kyā
koi baqi mere dil mein kahin arman hoga kya
udasi ke siwa mera koi paridhan hoga kya
tumhaari manzilen hain tum ne KHud mushkil baDhai hai
kisi ke sath chalne se safar aasan hoga kya
na chiDiyon ki koi aahaT na jhonke hi hawa ke hain
bahut lagta hai Dar mujh ko nagar viran hoga kya
kai arman mujh mein toD kar dam ji rahe honge
mujhe KHud dafn hona hai kahin shamshan hoga kya
ghamon mein muskurae hain ghazal hi gungunae hain
hamara mahfilon mein bhi kabhi samman hoga kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.