Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi baDh kar sitam mujh par sitam-ijad kya karta

Abida Karamat

koi baDh kar sitam mujh par sitam-ijad kya karta

Abida Karamat

MORE BYAbida Karamat

    koī baḌh kar sitam mujh par sitam-ījād kyā kartā

    basāyā nahīñ jis ko use barbād kyā kartā

    sikhāyā bolnā us ko zabān-e-be-zabānī se

    agar lab khol letī maiñ vo phir irshād kyā kartā

    kahāñ qad nāptā merā bhalā ye sher-e-kam-qāmat

    so merā sher bhī kar siyāsī daad kyā kartā

    nikal vo ḳhud nahīñ paatā shikanj-e-zāt se apnī

    jo apnī qaid meñ ḳhud ho mujhe āzād kyā kartā

    jahāñ baazū rasan-basta jahāñ qadġhan ho lafzoñ par

    koī zanjīr kyā hiltī koī fariyād kyā kartā

    agar fitrat ho sīmābī tabī.at bhī ho sailānī

    dar-o-dīvār kyā rakhtā vo ghar ābād kyā kartā

    rihā.ī zulm se us ke mayassar aur mumkin thī

    magar maiñ ne yahī sochā vo mere ba.ad kyā kartā

    koi baDh kar sitam mujh par sitam-ijad kya karta

    basaya hi nahin jis ko use barbaad kya karta

    sikhaya bolna us ko zaban-e-be-zabani se

    agar lab khol leti main wo phir irshad kya karta

    kahan qad napta mera bhala ye sher-e-kam-qamat

    so mera sher bhi pa kar siyasi dad kya karta

    nikal wo KHud nahin pata shikanj-e-zat se apni

    jo apni qaid mein KHud ho mujhe aazad kya karta

    jahan bazu rasan-basta jahan qadghan ho lafzon par

    koi zanjir kya hilti koi fariyaad kya karta

    agar fitrat ho simabi tabiat bhi ho sailani

    dar-o-diwar kya rakhta wo ghar aabaad kya karta

    rihai zulm se us ke mayassar aur mumkin thi

    magar main ne yahi socha wo mere baad kya karta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now