koi baiTha raha shabab samet
koī baiThā rahā shabāb samet
aur maiñ so gayā kitāb samet
ye kahā thā tirā javāb nahīñ
phir koī aa gayā javāb samet
maiñ tire ḳhālī haath ke qurbān
mujh se milnā magar gulāb samet
milne aayā hai koī jān-e-ġhazal
'mīr' sāhib ke intiḳhāb samet
niiñd aatī hai karvaTeñ le kar
ranj ke saath iztirāb samet
Duub jaane meñ koī harj nahīñ
Dūbnā ho agar sharāb samet
koi baiTha raha shabab samet
aur main so gaya kitab samet
ye kaha tha tera jawab nahin
phir koi aa gaya jawab samet
main tere KHali hath ke qurban
mujh se milna magar gulab samet
milne aaya hai koi jaan-e-ghazal
'mir' sahib ke intiKHab samet
nind aati hai karwaTen le kar
ranj ke sath iztirab samet
Dub jaane mein koi harj nahin
Dubna ho agar sharab samet
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.