Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi barham ho to hans-hans kar mila karta hun main

Amn Lakhnavi

koi barham ho to hans-hans kar mila karta hun main

Amn Lakhnavi

MORE BYAmn Lakhnavi

    koī barham ho to hañs-hañs kar milā kartā huuñ maiñ

    ahl-e-duniyā ko mohabbat-āshnā kartā huuñ maiñ

    chupke-chupke sab harīfoñ sunā kartā huuñ maiñ

    jurm ye hai zikr-e-taslīm-o-razā kartā huuñ maiñ

    kyā karūñ zikr-e-ḳhudā is daur meñ suntā hai kaun

    hāl-e-duniyā dekh kar yād-e-ḳhudā kartā huuñ maiñ

    kyā qayāmat hai ki ab vo bhī haiñ mujh se bad-gumāñ

    'azmatoñ jin charchā jā-ba-jā kartā huuñ maiñ

    peshkash kyā kar sakūñ kyā nazr duuñ kyā bheñT duuñ

    chand aañsū haiñ jinheñ harf-e-du'ā kartā huuñ maiñ

    rasm-o-rāh-e-kā'ba-o-but-ḳhāna se huuñ bā-ḳhabar

    muḳhtalif andāz ke sajde kiyā kartā huuñ maiñ

    koi barham ho to hans-hans kar mila karta hun main

    ahl-e-duniya ko mohabbat-ashna karta hun main

    chupke-chupke sab harifon ki suna karta hun main

    jurm ye hai zikr-e-taslim-o-raza karta hun main

    kya karun zikr-e-KHuda is daur mein sunta hai kaun

    haal-e-duniya dekh kar yaad-e-KHuda karta hun main

    kya qayamat hai ki ab wo bhi hain mujh se bad-guman

    'azmaton ka jin ki charcha ja-ba-ja karta hun main

    peshkash kya kar sakun kya nazr dun kya bhenT dun

    chand aansu hain jinhen harf-e-du'a karta hun main

    rasm-o-rah-e-ka'ba-o-but-KHana se hun ba-KHabar

    muKHtalif andaz ke sajde kiya karta hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now