koi basti koi qarya nahin hai
koī bastī koī qarya nahīñ hai
jahāñ maiñ ne tujhe paayā nahīñ hai
jidhar dekho sukūt-e-bekarāñ hai
sar-e-maqtal to sannāTā nahīñ hai
diye bujh jaa.eñ to bujhtī nahīñ hai
havā ko kyuuñ ye andāza nahīñ hai
ajab bastī hai jis meñ aa base haiñ
sabhī jhūTe koī sachchā nahīñ hai
'ziyā' maiñ ne jise samjhā hai barsoñ
use dekhā magar dekhā nahīñ hai
koi basti koi qarya nahin hai
jahan main ne tujhe paya nahin hai
jidhar dekho sukut-e-bekaran hai
sar-e-maqtal to sannaTa nahin hai
diye bujh jaen to bujhti nahin hai
hawa ko kyun ye andaza nahin hai
ajab basti hai jis mein aa base hain
sabhi jhuTe koi sachcha nahin hai
'ziya' main ne jise samjha hai barson
use dekha magar dekha nahin hai
- Book : Aiwan (Pg. 77)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.