koi basti nai hum tum kahin aabaad karte hain
koi basti nai hum tum kahin aabaad karte hain
Hina Ambareen Tariq
MORE BYHina Ambareen Tariq
koī bastī na.ī ham tum kahīñ ābād karte haiñ
chalo aao koī rasta nayā ījād karte haiñ
samundar ho ki sahrā ho gul-o-gulzār ho chāhe
ye ham hī log haiñ jo har nagar ābād karte haiñ
yahī ḳhvāhish tumhārī hai ki tum ham se bichhaḌ jaao
to phir jaao abhī se ham tumheñ āzād karte haiñ
hameñ to aarzū ye thī qafas ko toḌ Daalo tum
magar tum ne kiyā vo hī jo sab sayyād karte haiñ
mire har lafz meñ yārab bayāñ ho haq faqat sach ho
atā dī hai qalam kī to ye bhī fariyād karte haiñ
mohabbat meñ jo haare ho to behtar hai palaT jaao
dar-o-dīvār-e-sañg-o-bām sab hī yaad karte haiñ
koi basti nai hum tum kahin aabaad karte hain
chalo aao koi rasta naya ijad karte hain
samundar ho ki sahra ho gul-o-gulzar ho chahe
ye hum hi log hain jo har nagar aabaad karte hain
yahi KHwahish tumhaari hai ki tum hum se bichhaD jao
to phir jao abhi se hum tumhein aazad karte hain
hamein to aarzu ye thi qafas ko toD Dalo tum
magar tum ne kiya wo hi jo sab sayyaad karte hain
mere har lafz mein yarab bayan ho haq faqat sach ho
ata di hai qalam ki to ye bhi fariyaad karte hain
mohabbat mein jo haare ho to behtar hai palaT jao
dar-o-diwar-e-sang-o-baam sab hi yaad karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.