Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi batlae ki ye turfa tamasha kyun hai

Hafeez Banarasi

koi batlae ki ye turfa tamasha kyun hai

Hafeez Banarasi

MORE BYHafeez Banarasi

    koī batlā.e ki ye turfa tamāshā kyuuñ hai

    aadmī bhiiḌ meñ rahte hue tanhā kyuuñ hai

    paañv phailā.e hue ġham añdherā kyuuñ hai

    aa ga.ī sub.h-e-tamannā to phir aisā kyuuñ hai

    maiñ to ik zarra-e-nāchīz huuñ aur kuchh bhī nahīñ

    vo jo sūraj hai mire naam se jaltā kyuuñ hai

    tujh ko nisbat hai agar nām-e-barāhīm se kuchh

    aag ko phuul samajh aag se Dartā kyuuñ hai

    kaun ahd hai jis ahd meñ ham jiite haiñ

    dasht to dasht hai dariyā yahāñ pyāsā kyuuñ hai

    ke bahkegā to rusvā.ī-e-mahfil hogī

    vo jo kam-zarf hai maiḳhāne meñ aayā kyuuñ hai

    koī aaseb hai sirf nigāhoñ fareb

    ek saaya mujhe har nazar aatā kyuuñ hai

    yaad kis mah-o-ḳhurshīd liye aa.ī hai

    shab-e-tārīk meñ aaj itnā ujālā kyuuñ hai

    bad-havāsī ye aalam kabhī pahle to na thā

    hashr se pahle ye hashr barpā kyuuñ hai

    koi batlae ki ye turfa tamasha kyun hai

    aadmi bhiD mein rahte hue tanha kyun hai

    panw phailae hue gham ka andhera kyun hai

    aa gai subh-e-tamanna to phir aisa kyun hai

    main to ek zarra-e-nachiz hun aur kuchh bhi nahin

    wo jo suraj hai mere nam se jalta kyun hai

    tujh ko nisbat hai agar nam-e-barahim se kuchh

    aag ko phul samajh aag se Darta kyun hai

    kaun sa ahd hai jis ahd mein hum jite hain

    dasht to dasht hai dariya yahan pyasa kyun hai

    pi ke bahkega to ruswai-e-mahfil hogi

    wo jo kam-zarf hai maiKHane mein aaya kyun hai

    koi aaseb hai ya sirf nigahon ka fareb

    ek saya mujhe har su nazar aata kyun hai

    yaad kis ki mah-o-KHurshid liye aai hai

    shab-e-tarik mein aaj itna ujala kyun hai

    bad-hawasi ka ye aalam kabhi pahle to na tha

    hashr se pahle hi ye hashr sa barpa kyun hai

    Source :
    • Book : Safeer-e-shar-e-dil (Pg. 291)
    • Author : Hafeez Banarsi
    • Publication : Hafeez Banarsi (2007)
    • Edition : 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now