koi batlae majra kya hai
koī batlā.e mājrā kyā hai
roz-o-shab kā ye silsila kyā hai
saare aalam meñ ghuum kar dekhā
mere mahbūb ke sivā kyā hai
ibtidā kī ḳhabar nahīñ mujh ko
kyā batā.ūñ ki intihā kyā hai
aag phaile to duur tak jaa.e
lau hai kyā chiiz aur diyā kyā hai
band kar de kafan-faroshī ko
murda jismoñ pe ab rahā kyā hai
aql ma.azūr hai mohabbat meñ
ye na jaane bhalā-burā kyā hai
apne kaase ko bhar liyā maiñ ne
maiñ nahīñ jāntī atā kyā hai
ramz dariyā hī jāntā hogā
sohnī kaun hai ghaḌā kyā hai
koi batlae majra kya hai
roz-o-shab ka ye silsila kya hai
sare aalam mein ghum kar dekha
mere mahbub ke siwa kya hai
ibtida ki KHabar nahin mujh ko
kya bataun ki intiha kya hai
aag phaile to dur tak jae
lau hai kya chiz aur diya kya hai
band kar de kafan-faroshi ko
murda jismon pe ab raha kya hai
aql mazur hai mohabbat mein
ye na jaane bhala-bura kya hai
apne kase ko bhar liya main ne
main nahin jaanti ata kya hai
ramz dariya hi jaanta hoga
sohni kaun hai ghaDa kya hai
- Book : Mehki Mehki Raat (Pg. 146)
- Author : Syeda Nafis Bano Shama
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.