koi bhi arman nahin hai
koī bhī armān nahīñ hai
yuuñ jiinā āsān nahīñ hai
aaheñ andar ghuT jaatī haiñ
dil meñ raushan-dān nahīñ haiñ
chhoḌo bhī ab in qissoñ ko
in qissoñ meñ jaan nahīñ hai
baat chhupānā sīkho sāhab
kis ghar meñ tūfān nahīñ hai
ab bhī terā hissa huuñ maiñ
bas tujh ko hī dhyān nahīñ hai
jab tab ḳhvāhish ug aatī haiñ
dil hai registān nahīñ hai
maiñ ik aisā afsānā huuñ
jis kā kuchh unvān nahīñ hai
koi bhi arman nahin hai
yun jina aasan nahin hai
aahen andar ghuT jati hain
dil mein raushan-dan nahin hain
chhoDo bhi ab in qisson ko
in qisson mein jaan nahin hai
baat chhupana sikho sahab
kis ghar mein tufan nahin hai
ab bhi tera hissa hun main
bas tujh ko hi dhyan nahin hai
jab tab KHwahish ug aati hain
dil hai registan nahin hai
main ek aisa afsana hun
jis ka kuchh unwan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.