koi bhi baat manane mein der lagti hai
koī bhī baat manāne meñ der lagtī hai
kisī ko apnā banāne meñ der lagtī hai
hamesha ḳhud ko jatāne meñ der lagtī hai
koī maqām banāne meñ der lagtī hai
makāñ ko toḌnā chāho to chaar din kaafī
magar makān banāne meñ der lagtī hai
ujaaḌ dete haiñ shahroñ ko zalzale pal meñ
aur ek shahr basāne meñ der lagtī hai
ye dekhnā hai mirī baat nāgavār na ho
koī bhī baat batāne meñ der lagtī hai
kisī ko dost banānā 'kalīm' āsāñ hai
magar isī ko nibhāne meñ der lagtī hai
koi bhi baat manane mein der lagti hai
kisi ko apna banane mein der lagti hai
hamesha KHud ko jatane mein der lagti hai
koi maqam banane mein der lagti hai
makan ko toDna chaho to chaar din kafi
magar makan banane mein der lagti hai
ujaD dete hain shahron ko zalzale pal mein
aur ek shahr basane mein der lagti hai
ye dekhna hai meri baat nagawar na ho
koi bhi baat batane mein der lagti hai
kisi ko dost banana 'kalim' aasan hai
magar isi ko nibhane mein der lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.