koi bhi baat na thi wardat se pahle
koī bhī baat na thī vārdāt se pahle
mirī hī zaat thī is kā.enāt se pahle
kuchh itnā zulm huā hai ki mujh ko lagtā hai
koī bhī raat na guzrī thī raat se pahle
agar vo chhūT gayā baat ye na.ī to nahīñ
mile the haat bahut us ke haat se pahle
hue nahīñ the kabhī itne aabrū vaale
kisī ke saath na the us ke saat se pahle
koī hañse bhī to ubhre sadā sisakne kī
koī najāt na paa.e najāt se pahle
koi bhi baat na thi wardat se pahle
meri hi zat thi is kaenat se pahle
kuchh itna zulm hua hai ki mujh ko lagta hai
koi bhi raat na guzri thi raat se pahle
agar wo chhuT gaya baat ye nai to nahin
mile the hat bahut us ke hat se pahle
hue nahin the kabhi itne aabru wale
kisi ke sath na the us ke sat se pahle
koi hanse bhi to ubhre sada sisakne ki
koi najat na pae najat se pahle
- Book : Hukm Nama (Pg. 97)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.