koi bhi dar na mila narasi ke marqad mein
koī bhī dar na milā nārasī ke marqad meñ
maiñ ghuT ke mar gayā apnī sadā ke gumbad meñ
ġhubār-e-fikr chhaTā jab to dekhtā kyā huuñ
abhī khaḌā huuñ maiñ harf-o-navā kī sarhad meñ
mire harīfoñ pe be-vaj.h ḳhauf ġhālib hai
hai kaun mere sivā mere vaar kī zad meñ
koī ḳhabar hī na thī marg-e-justujū kī mujhe
zamīñ phalāñg gayā apne shauq-e-behad meñ
'ajab thā maiñ bhī ki ḳhud apnī hī sanā kī 'zeb'
phir ek hajv kahī is qasīde kī rad meñ
koi bhi dar na mila narasi ke marqad mein
main ghuT ke mar gaya apni sada ke gumbad mein
ghubar-e-fikr chhaTa jab to dekhta kya hun
abhi khaDa hun main harf-o-nawa ki sarhad mein
mere harifon pe be-wajh KHauf ghaalib hai
hai kaun mere siwa mere war ki zad mein
koi KHabar hi na thi marg-e-justuju ki mujhe
zamin phalang gaya apne shauq-e-behad mein
'ajab tha main bhi ki KHud apni hi sana ki 'zeb'
phir ek hajw kahi is qaside ki rad mein
- Book : Zard Zarkhez (Pg. 30)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.