koi bhi dil mein nahin ab aarzu
koī bhī dil meñ nahīñ ab aarzū
hai ḳhayāl-e-yār mere rū-ba-rū
vo bane unvāñ kitāb-e-zīst kā
aur kyā ho us kī ḳhātir justujū
merī āñkhoñ meñ ye kis kā aks hai
kar rahā hai kaun mujh se guftugū
dekh kar jis ko bahāreñ jhuk ga.iiñ
us kī ḳhushbū hai chaman meñ chaar sū
baat koī to bane ḳhanjar uThā
gar tujhe maqsūd hai merā lahū
bārgāh-e-ishq se aa.ī nidā
hai dar-e-jānāñ pe marnā aabrū
muntaḳhab jis ko mire dil ne kiyā
us se baḌh kar kaun hogā ḳhūb-rū
pī rahā huuñ maiñ nigāh-e-yār se
hech haiñ mere liye jām-o-subū
ḳhūgar-e-dard-e-mohabbat maiñ hī thā
kis liye kartā maiñ zaḳhm-e-dil rafū
iztirāb-e-hijr kā aalam na pūchh
kar rahā huuñ apne ashkoñ se vuzū
mere dil meñ kaash 'sā.ir' jhāñk kar
dekh lete apne ahbāb-o-adū
koi bhi dil mein nahin ab aarzu
hai KHayal-e-yar mere ru-ba-ru
wo bane unwan kitab-e-zist ka
aur kya ho us ki KHatir justuju
meri aankhon mein ye kis ka aks hai
kar raha hai kaun mujh se guftugu
dekh kar jis ko bahaaren jhuk gain
us ki KHushbu hai chaman mein chaar su
baat koi to bane KHanjar uTha
gar tujhe maqsud hai mera lahu
bargah-e-ishq se aai nida
hai dar-e-jaanan pe marna aabru
muntaKHab jis ko mere dil ne kiya
us se baDh kar kaun hoga KHub-ru
pi raha hun main nigah-e-yar se
hech hain mere liye jam-o-subu
KHugar-e-dard-e-mohabbat main hi tha
kis liye karta main zaKHm-e-dil rafu
iztirab-e-hijr ka aalam na puchh
kar raha hun apne ashkon se wuzu
mere dil mein kash 'sair' jhank kar
dekh lete apne ahbab-o-adu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.