koi bhi lafz-e-ibrat-ashna main paDh nahin sakta
koī bhī lafz-e-ibrat-āshnā maiñ paḌh nahīñ saktā
basīrat ko na-jāne kyā huā maiñ paḌh nahīñ saktā
samundar ne havā ke naam ik ḳhat reg-e-sāhil par
kisī murda zabāñ meñ likh diyā maiñ paḌh nahīñ saktā
ye insānoñ ke māthe to nahīñ katbe haiñ qabroñ ke
har ik chehre pe us kā marsiya maiñ paḌh nahīñ saktā
zamīn o āsmāñ sūraj sitāre chāñd sayyāre
kitāb-e-dā.era-dar-dā.era maiñ paḌh nahīñ saktā
koi bhi lafz-e-ibrat-ashna main paDh nahin sakta
basirat ko na-jaane kya hua main paDh nahin sakta
samundar ne hawa ke nam ek KHat reg-e-sahil par
kisi murda zaban mein likh diya main paDh nahin sakta
ye insanon ke mathe to nahin katbe hain qabron ke
har ek chehre pe us ka marsiya main paDh nahin sakta
zamin o aasman suraj sitare chand sayyare
kitab-e-daera-dar-daera main paDh nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.