Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi bhi qaid ai mauj-e-rawan baqi na rah jae

Sharm Lakhnavi

koi bhi qaid ai mauj-e-rawan baqi na rah jae

Sharm Lakhnavi

MORE BYSharm Lakhnavi

    koī bhī qaid ai mauj-e-ravāñ baaqī na rah jaa.e

    koī dariyā meñ sāhil nishāñ baaqī na rah jaa.e

    tire bāb-e-karam par jis ko sajde se ta.ammul ho

    sar aisā koī ai pīr-e-muġhāñ baaqī na rah jaa.e

    hazar ai but-shikan pāmālī-e-husn-e-numāyāñ se

    koī sūrat ba-andāz-e-nihāñ baaqī na rah jaa.e

    rahā hai shor un bā.is-e-jang-o-jadal barsoñ

    kahīñ ab zikr-e-nāqūs-o-azāñ baaqī na rah jaa.e

    tujhe kuchh 'sharm' rakhnī hai ab is azm-e-musammam

    safar thoḌā bhī ai kārvāñ baaqī na rah jaa.e

    koi bhi qaid ai mauj-e-rawan baqi na rah jae

    koi dariya mein sahil ka nishan baqi na rah jae

    tere bab-e-karam par jis ko sajde se tammul ho

    sar aisa koi ai pir-e-mughan baqi na rah jae

    hazar ai but-shikan pamali-e-husn-e-numayan se

    koi surat ba-andaz-e-nihan baqi na rah jae

    raha hai shor un ka bais-e-jang-o-jadal barson

    kahin ab zikr-e-naqus-o-azan baqi na rah jae

    tujhe kuchh 'sharm' rakhni hai ab is azm-e-musammam ki

    safar thoDa sa bhi ai karwan baqi na rah jae

    Source :
    • Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 293)
    • Author : فرحت احساس
    • Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now