koi bhi saman nahin hai ab meri hairani ko
koī bhī sāmān nahīñ hai ab merī hairānī ko
ātish-dān meñ pheñk diyā hai ik ḳhat likh kar paanī ko
kirdāroñ kī khep bulā kar kyā tasvīr banāoge
ek kahānī se dhāñpoge kis kis kī uryānī ko
un se pūchho jin par guzre lamhe asl qayāmat ke
log to hijrat kah dete haiñ har ik naql-e-makānī ko
ham ne jis lamhe sauñpe the ḳhvāb bilorīñ āñkhoñ ko
kos rahe haiñ ab tak ham us lamhe kī nādānī ko
jis chashme se paanī piinā us kā saudā kar denā
ġhaddārī kahte haiñ bhaa.ī aisī be-īmānī ko
ghuur rahā hai merā dil kab se ik ḳhālī pinjre ko
zindāñ se āvāz aatī hai aa jaao zindānī ko
kaise tanhā kamre se uTh kar bāzār meñ aa jaa.eñ
mushkil se yaad kiyā hai ham ne us vīrānī ko
koi bhi saman nahin hai ab meri hairani ko
aatish-dan mein phenk diya hai ek KHat likh kar pani ko
kirdaron ki khep bula kar kya taswir banaoge
ek kahani se dhanpoge kis kis ki uryani ko
un se puchho jin par guzre lamhe asl qayamat ke
log to hijrat kah dete hain har ek naql-e-makani ko
hum ne jis lamhe saunpe the KHwab bilorin aankhon ko
kos rahe hain ab tak hum us lamhe ki nadani ko
jis chashme se pani pina us ka sauda kar dena
ghaddari kahte hain bhai aisi be-imani ko
ghur raha hai mera dil kab se ek KHali pinjre ko
zindan se aawaz aati hai aa jao zindani ko
kaise tanha kamre se uTh kar bazar mein aa jaen
mushkil se yaad kiya hai hum ne us virani ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.