koi bhi shahr mein khul kar na baghal-gir hua
koī bhī shahr meñ khul kar na baġhal-gīr huā
maiñ bhī uktā.e hue logoñ se uktā ke milā
din ke kāñdhe pe dahakte hue sūraj kī salīb
raat kī god meñ ThiThurā huā mahtāb milā
kahīñ ashkoñ ke diye haiñ na tabassum ke charāġh
log patthar ke hue jaate haiñ rafta rafta
niiñd palkoñ ke darīche se lagī baiThī hai
sone detā hī nahīñ garm havā kā jhoñkā
vo chahaktī huī khiḌkī na mahakte dar-o-bām
un ke kūche meñ bhī kal maut kā sannāTā thā
laakh tahzīb ke ġhāroñ meñ chhupe ham 'aḳhtar'
phir bhī uryāniyat-e-vaqt se dāman na bachā
koi bhi shahr mein khul kar na baghal-gir hua
main bhi uktae hue logon se ukta ke mila
din ke kandhe pe dahakte hue suraj ki salib
raat ki god mein ThiThura hua mahtab mila
kahin ashkon ke diye hain na tabassum ke charagh
log patthar ke hue jate hain rafta rafta
nind palkon ke dariche se lagi baiThi hai
sone deta hi nahin garm hawa ka jhonka
wo chahakti hui khiDki na mahakte dar-o-baam
un ke kuche mein bhi kal maut ka sannaTa tha
lakh tahzib ke ghaaron mein chhupe hum 'aKHtar'
phir bhi uryaniyat-e-waqt se daman na bacha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.