koi bhula hua yaad aa raha hai
koī bhūlā huā yaad aa rahā hai
ġham-e-derīna khaa.e jā rahā hai
hazāroñ zāviye badle nazar ne
zamāna mustaqil bal khā rahā hai
ta.alluq kuchh nahīñ jis ḳhūb-rū se
rag-e-jāñ meñ vo bastā jā rahā hai
ḳhayāloñ kī muñDeroñ par vo aa kar
balā kī chāñdnī barsā rahā hai
nazar manzar meñ jis ko DhūñDhtī thī
vo dil kī anjuman meñ aa rahā hai
jise ahl-e-junūñ kahte haiñ 'mānī'
taḌap kar sab ko vo taḌpā rahā hai
koi bhula hua yaad aa raha hai
gham-e-derina khae ja raha hai
hazaron zawiye badle nazar ne
zamana mustaqil bal kha raha hai
talluq kuchh nahin jis KHub-ru se
rag-e-jaan mein wo basta ja raha hai
KHayalon ki munDeron par wo aa kar
bala ki chandni barsa raha hai
nazar manzar mein jis ko DhunDhti thi
wo dil ki anjuman mein aa raha hai
jise ahl-e-junun kahte hain 'mani'
taDap kar sab ko wo taDpa raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.