koi bistar naya sa
koī bistar nayā sā
ki ab ho ghar nayā sā
na.e se phuul lab par
diloñ meñ Dar nayā sā
na.ī sī ek uljhan
saroñ meñ shar nayā sā
na.ī sī koī āñdhī
koī lashkar nayā sā
utāro mere dil meñ
koī ḳhanjar nayā sā
yahī vo aadmī hai
magar hai sar nayā sā
dikhā.e ab tamāshā
vo bāzīgar nayā sā
yakāyak ye huā kyā
har ik manzar nayā sā
nayā sā phuul mukhḌā
parī-paikar nayā sā
na.ī sī saarī rasmeñ
zar-o-zevar nayā sā
sajā de chāñd koī
sar-e-bistar nayā sā
are o shām-e-furqat
koī patthar nayā sā
lagā thā vo bhī 'ajmal'
bas ik pal-bhar nayā sā
koi bistar naya sa
ki ab ho ghar naya sa
nae se phul lab par
dilon mein Dar naya sa
nai si ek uljhan
saron mein shar naya sa
nai si koi aandhi
koi lashkar naya sa
utaro mere dil mein
koi KHanjar naya sa
yahi wo aadmi hai
magar hai sar naya sa
dikhae ab tamasha
wo bazigar naya sa
yakayak ye hua kya
har ek manzar naya sa
naya sa phul mukhDa
pari-paikar naya sa
nai si sari rasmen
zar-o-zewar naya sa
saja de chand koi
sar-e-bistar naya sa
are o sham-e-furqat
koi patthar naya sa
laga tha wo bhi 'ajmal'
bas ek pal-bhar naya sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.