Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi charagh na jugnu safar mein rakkha gaya

Wafa Naqvi

koi charagh na jugnu safar mein rakkha gaya

Wafa Naqvi

MORE BYWafa Naqvi

    koī charāġh na jugnū safar meñ rakkhā gayā

    dil-o-dimāġh ko jab apne ghar meñ rakkhā gayā

    khurach khurach ke likhā naam ek ḳhushbū

    kisī yaad ko yuuñ bhī shajar meñ rakkhā gayā

    jo ek lamhe ko chamkā thā tuur hastī par

    vahī to aks hamesha nazar meñ rakkhā gayā

    mirī nigāh ne dekhe nahīñ khañDar ab tak

    mujhe to gaañv se pahle nagar meñ rakkhā gayā

    mujhe fikr rahī ik anā ke miTne

    ki ik junūn mere sar meñ rakkhā gayā

    tarāshtī rahīñ us uñgliyāñ mujh ko

    mirā vajūd kisī ke hunar meñ rakkhā gayā

    ufuq pe phuul vafāoñ jab huā raushan

    sisaktī shab ke lahū ko sahar meñ rakkhā gayā

    koi charagh na jugnu safar mein rakkha gaya

    dil-o-dimagh ko jab apne ghar mein rakkha gaya

    khurach khurach ke likha nam ek KHushbu ka

    kisi ki yaad ko yun bhi shajar mein rakkha gaya

    jo ek lamhe ko chamka tha tur hasti par

    wahi to aks hamesha nazar mein rakkha gaya

    meri nigah ne dekhe nahin khanDar ab tak

    mujhe to ganw se pahle nagar mein rakkha gaya

    mujhe hi fikr rahi ek ana ke miTne ki

    ki ek junun sa mere hi sar mein rakkha gaya

    tarashti hi rahin us ki ungliyan mujh ko

    mera wajud kisi ke hunar mein rakkha gaya

    ufuq pe phul wafaon ka jab hua raushan

    sisakti shab ke lahu ko sahar mein rakkha gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now