koī chashm-o-nazar se duur kyoñ hai
mohabbat is qadar majbūr kyoñ hai
ye jalvoñ se fazā māmūr kyoñ hai
har ik zarra misāl-e-tūr kyoñ hai
ise bhī baḳhsh do dard-e-mohabbat
guzārish dil kī nā-manzūr kyoñ hai
do-'ālam par thī qudrat is ko hāsil
ye dil ab is qadar majbūr kyoñ hai
qarīb aa kar zarā mujh ko batāo
ki manzil 'āshiqī kī duur kyoñ hai
bahut ḳhud ko kiyā hai 'aam tū ne
har ik zarre meñ terā nuur kyoñ hai
mire dil ko thī zaḳhmoñ kī zarūrat
mire pahlū meñ ye nāsūr kyoñ hai
mire dast-e-karam kā māñgnā dekh
tirā dast-e-karam majbūr kyoñ hai
koi chashm-o-nazar se dur kyon hai
mohabbat is qadar majbur kyon hai
ye jalwon se faza mamur kyon hai
har ek zarra misal-e-tur kyon hai
ise bhi baKHsh do dard-e-mohabbat
guzarish dil ki na-manzur kyon hai
do-'alam par thi qudrat is ko hasil
ye dil ab is qadar majbur kyon hai
qarib aa kar zara mujh ko batao
ki manzil 'ashiqi ki dur kyon hai
bahut KHud ko kiya hai 'am tu ne
har ek zarre mein tera nur kyon hai
mere dil ko thi zaKHmon ki zarurat
mere pahlu mein ye nasur kyon hai
mere dast-e-karam ka mangna dekh
tera dast-e-karam majbur kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.