koi chaudhwin-raat ka chand ban kar tumhaare tasawwur mein aaya to hoga
koi chaudhwin-raat ka chand ban kar tumhaare tasawwur mein aaya to hoga
Akhtar Azad
MORE BYAkhtar Azad
koī chaudhvīñ-rāt kā chāñd ban kar tumhāre tasavvur meñ aayā to hogā
kisī se to kī hogī tum ne mohabbat kisī ko gale se lagāyā to hogā
laboñ se mohabbat kā jaadū jagā ke bharī bazm meñ sab se nazreñ bachā ke
nigāhoñ ke raste se dil meñ samā ke kisī ne tumheñ bhī churāyā to hogā
tumhāre ḳhayāloñ kī añgnā.iyoñ meñ mirī yaad ke phuul mahke to hoñge
kabhī apnī āñkhoñ ke kājal se tum ne mirā naam likh kar miTāyā to hogā
kabhī aa.ine se nigāheñ milā kar jo lī hogī bharpūr añgḌā.ī tū ne
to ghabrā ke ḳhud terī añgḌā.iyoñ ne tire husn ko gudgudāyā to hogā
nigāhoñ meñ sham-e-tamannā jalā kar takī hoñgī tum ne bhī rāheñ kisī kī
kisī ne to va.ada kiyā hogā tum se kisī ne to tum ko rulāyā to hogā
judā ho gayā hogā jab koī tum se diyā hogā jab tum ko dhokā kisī ne
hamārī vafā yaad aa.ī to hogī hameñ apne nazdīk paayā to hogā
koi chaudhwin-raat ka chand ban kar tumhaare tasawwur mein aaya to hoga
kisi se to ki hogi tum ne mohabbat kisi ko gale se lagaya to hoga
labon se mohabbat ka jadu jaga ke bhari bazm mein sab se nazren bacha ke
nigahon ke raste se dil mein sama ke kisi ne tumhein bhi churaya to hoga
tumhaare KHayalon ki angnaiyon mein meri yaad ke phul mahke to honge
kabhi apni aankhon ke kajal se tum ne mera nam likh kar miTaya to hoga
kabhi aaine se nigahen mila kar jo li hogi bharpur angDai tu ne
to ghabra ke KHud teri angDaiyon ne tere husn ko gudgudaya to hoga
nigahon mein sham-e-tamanna jala kar taki hongi tum ne bhi rahen kisi ki
kisi ne to wada kiya hoga tum se kisi ne to tum ko rulaya to hoga
juda ho gaya hoga jab koi tum se diya hoga jab tum ko dhoka kisi ne
hamari wafa yaad aai to hogi hamein apne nazdik paya to hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.