koi chehra nigahon mein nahin hai
koī chehra nigāhoñ meñ nahīñ hai
kahūñ kaise vo aahoñ meñ nahīñ hai
mirī qismat meñ ye kaisā safar hai
koī saaya bhī rāhoñ meñ nahīñ hai
agar kirdār ab tak hai salāmat
kashish kyoñ ḳhānqāhoñ meñ nahīñ hai
ġharīboñ ko sar āñkhoñ pe biThā.eñ
ye jazba ālī-jāhoñ meñ nahīñ hai
'asar' tum baat jis kī kar rahe ho
tumhāre ḳhair-ḳhvāhoñ meñ nahīñ hai
koi chehra nigahon mein nahin hai
kahun kaise wo aahon mein nahin hai
meri qismat mein ye kaisa safar hai
koi saya bhi rahon mein nahin hai
agar kirdar ab tak hai salamat
kashish kyon KHanqahon mein nahin hai
gharibon ko sar aankhon pe biThaen
ye jazba aali-jahon mein nahin hai
'asar' tum baat jis ki kar rahe ho
tumhaare KHair-KHwahon mein nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.