koi danaiyon ko hech jaane
koī dānā.iyoñ ko hech jaane
koī nādāniyoñ se ḳhush nahīñ hai
kabhī ghabrā uThe dil mushkiloñ se
kabhī āsāniyoñ se ḳhush nahīñ hai
guloñ se hai gilā shāḳh-e-shajar ko
samundar pāniyoñ se ḳhush nahīñ hai
koī hañgāma ārā.ī pe nālāñ
koī vīrāniyoñ se ḳhush nahīñ hai
dilā merī tabī.at in dinoñ kuchh
tirī man-māniyoñ se ḳhush nahīñ hai
koi danaiyon ko hech jaane
koi nadaniyon se KHush nahin hai
kabhi ghabra uThe dil mushkilon se
kabhi aasaniyon se KHush nahin hai
gulon se hai gila shaKH-e-shajar ko
samundar paniyon se KHush nahin hai
koi hangama aarai pe nalan
koi viraniyon se KHush nahin hai
dila meri tabiat in dinon kuchh
teri man-maniyon se KHush nahin hai
- Book : Makan Khulty Hain (Pg. 69)
- Author : Hassan Jameel
- Publication : Nastalique Al-firoz center Gazni Street, Urdu Bazar,Lahore (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.