koi dara-e-jaan hai kya malum
koī dārā-e-jāñ hai kyā ma.alūm
yā faqat dāstāñ hai kyā ma.alūm
kyā hudūd-e-yaqīñ meñ hai ḳhallāq
yā sarāsar gumāñ hai kyā ma.alūm
aarzū thī ḳhudā ko yā hājat
kyuuñ vajūd-e-jahāñ hai kyā ma.alūm
lahv yā ḳhud meñ naqs kā ehsās
illat-e-ins-o-jāñ hai kyā ma.alūm
iztirāran ki ba.ad-e-fikr-e-daqīq
ḳhil.at-e-īñ-o-āñ hai kyā ma.alūm
kis liye kis taraf bahar saa.at
raḳhsh-e-hastī davāñ hai kyā ma.alūm
kis ḳhalā-e-nazar ke bharne ko
ye zamīñ āsmāñ hai kyā ma.alūm
hai kahīñ āftāb-e-zāt-o-sifāt
yā shuā-e-bayāñ hai kyā ma.alūm
kuchh nahīñ hai ba-juz fareb yahāñ
aur sab kuchh vahāñ hai kyā ma.alūm
kis liye aql ke safīne meñ
naql kā bādbāñ hai kyā ma.alūm
chāplūsī meñ kis liye mashġhūl
ḳhail-e-karrubiyāñ hai kyā ma.alūm
malgajāhaT sī hai sar-e-gardūñ
abr hai yā dhuāñ hai kyā ma.alūm
vo tavānā.ī hai ki shaḳhsiyyat
kaun shāh-e-zamāñ hai kyā ma.alūm
ban ke pīchhe hai ik ḳhafī halchal
gard-e-pā kārvāñ hai kyā ma.alūm
shar hai kyuuñ is qadar lahīm-o-shahīm
ḳhair kyuuñ nīm-jāñ hai kyā ma.alūm
shaitanat kyuuñ hai rashk-e-māh-e-munīr
kyuuñ risālat katāñ hai kyā ma.alūm
kaun said-e-gunāh hai amdan
kyuuñ jahannum tapāñ hai kyā ma.alūm
kyā havādis ba-taur-e-mashġhala haiñ
yā sar-e-imtihāñ hai kyā ma.alūm
aur kyuuñ imtihāñ ke chakkar meñ
ālim-o-ġhaib-dāñ hai kyā ma.alūm
kaun in fāqa-kash ġharīboñ kā
zāmin-e-āb-o-nāñ hai kyā ma.alūm
āñkheñ labrez haiñ subū ḳhālī
kaun pīr-e-muġhāñ hai kyā ma.alūm
sikka-e-maut shahr-e-hastī meñ
kis ḳhatā par ravāñ hai kyā ma.alūm
nafs-e-ammāra baḳhshne vaalā
ham se kyuuñ sar-garāñ hai kyā ma.alūm
kyuuñ hamārī zamīn par har aan
karbalā kā samāñ hai kyā ma.alūm
is burī tarah muñh se kyuuñ bāhar
aadmī kī zabāñ hai kyā ma.alūm
'josh' nūr-e-ḳhudā pe kyuuñ haavī
rang-e-rū-e-butāñ hai kyā ma.alūm
koi dara-e-jaan hai kya malum
ya faqat dastan hai kya malum
kya hudud-e-yaqin mein hai KHallaq
ya sarasar guman hai kya malum
aarzu thi KHuda ko ya hajat
kyun wajud-e-jahan hai kya malum
lahw ya KHud mein naqs ka ehsas
illat-e-ins-o-jaan hai kya malum
iztiraran ki baad-e-fikr-e-daqiq
KHilat-e-in-o-an hai kya malum
kis liye kis taraf bahar saat
raKHsh-e-hasti dawan hai kya malum
kis KHala-e-nazar ke bharne ko
ye zamin aasman hai kya malum
hai kahin aaftab-e-zat-o-sifat
ya shua-e-bayan hai kya malum
kuchh nahin hai ba-juz fareb yahan
aur sab kuchh wahan hai kya malum
kis liye aql ke safine mein
naql ka baadban hai kya malum
chaplusi mein kis liye mashghul
KHail-e-karrubiyan hai kya malum
malgajahaT si hai sar-e-gardun
abr hai ya dhuan hai kya malum
wo tawanai hai ki shaKHsiyyat
kaun shah-e-zaman hai kya malum
ban ke pichhe hai ek KHafi halchal
gard-e-pa karwan hai kya malum
shar hai kyun is qadar lahim-o-shahim
KHair kyun nim-jaan hai kya malum
shaitanat kyun hai rashk-e-mah-e-munir
kyun risalat katan hai kya malum
kaun said-e-gunah hai amdan
kyun jahannum tapan hai kya malum
kya hawadis ba-taur-e-mashghala hain
ya sar-e-imtihan hai kya malum
aur kyun imtihan ke chakkar mein
aalim-o-ghaib-dan hai kya malum
kaun in faqa-kash gharibon ka
zamin-e-ab-o-nan hai kya malum
aankhen labrez hain subu KHali
kaun pir-e-mughan hai kya malum
sikka-e-maut shahr-e-hasti mein
kis KHata par rawan hai kya malum
nafs-e-ammara baKHshne wala
hum se kyun sar-garan hai kya malum
kyun hamari zamin par har aan
karbala ka saman hai kya malum
is buri tarah munh se kyun bahar
aadmi ki zaban hai kya malum
'josh' nur-e-KHuda pe kyun hawi
rang-e-ru-e-butan hai kya malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.