koi dam thamta nahin baran-e-ashk
koī dam thamtā nahīñ bārān-e-ashk
al-amāñ az chashm-e-pur tūfān-e-ashk
kis lab-e-mai-gūñ kī ḳhvāhish hai mudām
josh-zan hai ye mai-e-joshān-e-ashk
shor nāloñ kā mire sun dam-ba-dam
sahmgīñ haiñ yak-qalam tiflān-e-ashk
kashtī-e-gardūñ yaqīñ hai Duub jaa.e
baḌh chalā hai bahr-e-be-pāyān-e-ashk
shauq meñ us silk-dandāñ kī mudām
haiñ nikalte ye durr-e-ġhaltān-e-ashk
jal ke hotā ḳhaak soz-e-dil se tan
gar na kartī aañkh ye sāmān-e-ashk
faiz se ḳhūn-e-dil-e-majrūh kī
rashk-e-gulshan ho gayā dāmān-e-ashk
dho gayā ḳhātir se jānāñ kī ġhubār
jaan par merī hai ye ehsān-e-ashk
huuñ maiñ giryāñ ishq-e-ḳhādim-shāh maiñ
is liye 'āsim' huuñ maiñ nāzān-e-ashk
koi dam thamta nahin baran-e-ashk
al-aman az chashm-e-pur tufan-e-ashk
kis lab-e-mai-gun ki KHwahish hai mudam
josh-zan hai ye mai-e-joshan-e-ashk
shor nalon ka mere sun dam-ba-dam
sahmgin hain yak-qalam tiflan-e-ashk
kashti-e-gardun yaqin hai Dub jae
baDh chala hai bahr-e-be-payan-e-ashk
shauq mein us silk-dandan ki mudam
hain nikalte ye durr-e-ghaltan-e-ashk
jal ke hota KHak soz-e-dil se tan
gar na karti aankh ye saman-e-ashk
faiz se KHun-e-dil-e-majruh ki
rashk-e-gulshan ho gaya daman-e-ashk
dho gaya KHatir se jaanan ki ghubar
jaan par meri hai ye ehsan-e-ashk
hun main giryan ishq-e-KHadim-shah main
is liye 'asim' hun main nazan-e-ashk
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.