koi dariya hai na diwar khaDi hai lekin
koī dariyā hai na dīvār khaḌī hai lekin
biich meñ ek sadī aan paḌī hai lekin
aañkh sahrā kī tarah ḳhushk sahī andar se
saat sāvan se musalsal hī jhaḌī hai lekin
vo jo kahtā hai mujhe hijr nahīñ hai lāhaq
baat kuchh bhī ye nahīñ baat baḌī hai lekin
tiin dīvāroñ pe guzre hue mausam ke nishāñ
chauthī dīvār pe āvezāñ ghaḌī hai lekin
din ko sūraj ke muqābil nahīñ Thahrī sach hai
ye havā raat charāġhoñ se laḌī hai lekin
koī saaya koī ashjār nahīñ haiñ rah meñ
dhuup ke saath masāfat bhī kaḌī hai lekin
raat ke ghaav ne har dard sameTā ḳhud meñ
ik nishānī sar-e-aflāk juḌī hai lekin
zang ne aur kiyā zahr se ālūda use
guḌiyā ke siine pe suuī vo gaḌī hai lekin
koi dariya hai na diwar khaDi hai lekin
bich mein ek sadi aan paDi hai lekin
aankh sahra ki tarah KHushk sahi andar se
sat sawan se musalsal hi jhaDi hai lekin
wo jo kahta hai mujhe hijr nahin hai lahaq
baat kuchh bhi ye nahin baat baDi hai lekin
tin diwaron pe guzre hue mausam ke nishan
chauthi diwar pe aawezan ghaDi hai lekin
din ko suraj ke muqabil nahin Thahri sach hai
ye hawa raat charaghon se laDi hai lekin
koi saya koi ashjar nahin hain rah mein
dhup ke sath masafat bhi kaDi hai lekin
raat ke ghaw ne har dard sameTa KHud mein
ek nishani sar-e-aflak juDi hai lekin
zang ne aur kiya zahr se aaluda use
guDiya ke sine pe sui wo gaDi hai lekin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.