koi dariya hun jo kuze mein simaT jaunga
koī dariyā huuñ jo kuuze meñ simaT jā.ūñgā
pyaas huuñ maiñ tire hoñToñ se lipaT jā.ūñgā
ek āvāz se miltī haiñ ka.ī āvāzeñ
maiñ añdhere meñ kisī se bhī lipaT jā.ūñgā
jis tarah chāhiye kar lījiye nuqte kā shumār
maiñ adad kab huuñ ki ta.adād meñ baT jā.ūñgā
ġhaur kar ek nayā sher huuñ naqqād-e-ġhazal
terā bhejā maiñ nahīñ huuñ ki ulaT jā.ūñgā
koī naġhma koī āvāz nahīñ huuñ 'ash.har'
bazm-e-tanhā.ī huuñ ḳhud se hī lipaT jā.ūñgā
koi dariya hun jo kuze mein simaT jaunga
pyas hun main tere honTon se lipaT jaunga
ek aawaz se milti hain kai aawazen
main andhere mein kisi se bhi lipaT jaunga
jis tarah chahiye kar lijiye nuqte ka shumar
main adad kab hun ki tadad mein baT jaunga
ghaur kar ek naya sher hun naqqad-e-ghazal
tera bheja main nahin hun ki ulaT jaunga
koi naghma koi aawaz nahin hun 'ashhar'
bazm-e-tanhai hun KHud se hi lipaT jaunga
- Book : Be Sada Faryaad (Ghazals) (Pg. 82)
- Author : Iqbal Ashhar Qureshi
- Publication : Fine Art Group Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.