koi dastak koi Thokar nahin hai
koī dastak koī Thokar nahīñ hai
tumhāre dil meñ shāyad dar nahīñ hai
use is dasht kā kyā ḳhauf hogā
vo apne jism meñ ho kar nahīñ hai
miyāñ kuchh ruuh Daalo shā.irī meñ
abhī manzar meñ pas-manzar nahīñ hai
tirī dastār tujh ko Dho rahī hai
tire kāñdhoñ pe terā sar nahīñ hai
ise la.anat samajhiye ā.inoñ par
kisī ke haath meñ patthar nahīñ hai
ye duniyā āsmāñ meñ uḌ rahī hai
ye lagtī hai magar be-par nahīñ hai
koi dastak koi Thokar nahin hai
tumhaare dil mein shayad dar nahin hai
use is dasht ka kya KHauf hoga
wo apne jism mein ho kar nahin hai
miyan kuchh ruh Dalo shairi mein
abhi manzar mein pas-manzar nahin hai
teri dastar tujh ko Dho rahi hai
tere kandhon pe tera sar nahin hai
ise lanat samajhiye aainon par
kisi ke hath mein patthar nahin hai
ye duniya aasman mein uD rahi hai
ye lagti hai magar be-par nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.