koi dekhe to ye andaz satane wala
koī dekhe to ye andāz satāne vaalā
mujh se ġhāfil hai mire ḳhvāb meñ aane vaalā
ba.az auqāt ye dekhā hai tirī galiyoñ meñ
rāsta bhuul gayā raah batāne vaalā
dars-e-ibrat mirā anjām hai duniyā ke liye
ab tirī bātoñ meñ koī nahīñ aane vaalā
gumrahī kā mujhe ehsās dilā detā hai
ba.az auqāt koī Thokareñ khāne vaalā
mīThī mīThī sī mire dil meñ kasak chhoḌ gayā
ḳhalvat-e-zehn meñ chupke se dar aane vaalā
ghar meñ ye jashn-e-charāġhāñ kā samāñ kyā ma.anī
is ḳharābe meñ bhalā kaun hai aane vaalā
apne a.amāl-o-aqā.ed ko parakhte rahiye
ab koī aur payambar nahīñ aane vaalā
kyā kahūñ kaun hai mauzū-e-suḳhan ai 'tāhir'
ek kirdār tarāshā hai fasāne vaalā
koi dekhe to ye andaz satane wala
mujh se ghafil hai mere KHwab mein aane wala
baz auqat ye dekha hai teri galiyon mein
rasta bhul gaya rah batane wala
dars-e-ibrat mera anjam hai duniya ke liye
ab teri baaton mein koi nahin aane wala
gumrahi ka mujhe ehsas dila deta hai
baz auqat koi Thokaren khane wala
miThi miThi si mere dil mein kasak chhoD gaya
KHalwat-e-zehn mein chupke se dar aane wala
ghar mein ye jashn-e-charaghan ka saman kya mani
is KHarabe mein bhala kaun hai aane wala
apne aamal-o-aqaed ko parakhte rahiye
ab koi aur payambar nahin aane wala
kya kahun kaun hai mauzu-e-suKHan ai 'tahir'
ek kirdar tarasha hai fasane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.