koi dekhe to zara kaisi saza deta hai
koī dekhe to zarā kaisī sazā detā hai
merā dushman mujhe jiine kī duā detā hai
hākim-e-vaqt bhī hālāt se aajiz aa kar
vaqt ke sāmne sar apnā jhukā detā hai
kyā huā tū ne jo ġhurbat meñ chhuḌāyā dāman
aise hālāt meñ har koī daġhā detā hai
lutf aatā nahīñ ho kar bhī shikam-ser tumheñ
ham ġharīboñ ko to faaqa bhī maza detā hai
duur ākāsh meñ uḌtā huā sūkhā pattā
aane vaale kisī tūfāñ kā patā detā hai
haath phailā.ūñ kisī ġhair ke aage kyūñ-kar
mujh ko har chiiz binā māñge ḳhudā detā hai
jis kī āvāz ko sun kar maiñ taḌap jaatā huuñ
mere andar se mujhe kaun sadā detā hai
koī manzil pe nahīñ chhoḌtā le jā ke 'rafīq'
har koī duur se bas raah dikhā detā hai
koi dekhe to zara kaisi saza deta hai
mera dushman mujhe jine ki dua deta hai
hakim-e-waqt bhi haalat se aajiz aa kar
waqt ke samne sar apna jhuka deta hai
kya hua tu ne jo ghurbat mein chhuDaya daman
aise haalat mein har koi dagha deta hai
lutf aata nahin ho kar bhi shikam-ser tumhein
hum gharibon ko to faqa bhi maza deta hai
dur aakash mein uDta hua sukha patta
aane wale kisi tufan ka pata deta hai
hath phailaun kisi ghair ke aage kyun-kar
mujh ko har chiz bina mange KHuda deta hai
jis ki aawaz ko sun kar main taDap jata hun
mere andar se mujhe kaun sada deta hai
koi manzil pe nahin chhoDta le ja ke 'rafiq'
har koi dur se bas rah dikha deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.