koi deta nahin hai dad be-dad
koī detā nahīñ hai daad be-dād
koī suntā nahīñ fariyād fariyād
kaheñ haiñ kyā balā dām-e-balā hai
terī zulfoñ ko ai sayyād sayyād
na rakh ummīd-e-āsā.ish jahāñ meñ
ki hai duniyā kī be-buniyād buniyād
tujhe ma.ashūqiyat ke fan meñ mahbūb
kaheñ haiñ ishq ke ustād ustād
ga.ī ġhaflat meñ saarī umr 'hātim'
ki jaisī ḳhāk-e-rah barbād barbād
koi deta nahin hai dad be-dad
koi sunta nahin fariyaad fariyaad
kahen hain kya bala dam-e-bala hai
teri zulfon ko ai sayyaad sayyaad
na rakh ummid-e-asaish jahan mein
ki hai duniya ki be-buniyaad buniyaad
tujhe mashuqiyat ke fan mein mahbub
kahen hain ishq ke ustad ustad
gai ghaflat mein sari umr 'hatim'
ki jaisi KHak-e-rah barbaad barbaad
- Book : Diwan Zadah (Pg. 169)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.