koi diwar hai na dar apna
koī dīvār hai na dar apnā
kitnā mahfūz hai ye ghar apnā
kaun jiitā thā naam ko tere
aur jhukā.e rahā thā sar apnā
rail-gāḌī ke signaloñ kī tarah
chaltā ruktā huā safar apnā
chañd aañsū haiñ kuchh duā.eñ haiñ
bas ye sāmān muḳhtasar apnā
dostī jab kisī se karte haiñ
dil hī rakhte haiñ khol kar apnā
aur kyā degī ye nadī āḳhir
sauñp degī mujhe bhañvar apnā
saare a.adād tum ne chhīn liye
le ke baiThe haiñ ham safar apnā
apnī taḳhlīq se taġhāful kyoñ
ik zarā dekh le bashar apnā
koi diwar hai na dar apna
kitna mahfuz hai ye ghar apna
kaun jita tha nam ko tere
aur jhukae raha tha sar apna
rail-gaDi ke signalon ki tarah
chalta rukta hua safar apna
chand aansu hain kuchh duaen hain
bas ye saman muKHtasar apna
dosti jab kisi se karte hain
dil hi rakhte hain khol kar apna
aur kya degi ye nadi aaKHir
saunp degi mujhe bhanwar apna
sare aadad tum ne chhin liye
le ke baiThe hain hum safar apna
apni taKHliq se taghaful kyon
ek zara dekh le bashar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.