koi diwar na dar khulta hai
koī dīvār na dar khultā hai
par mirā azm-e-safar khultā hai
baḌī mushkil se vo dar khultā hai
ye alag baat magar khultā hai
ham hī dīvāne bane phirte haiñ
kab tirā zauq-e-nazar khultā hai
maañ to ro letī hai lekin yaaro
kab yahāñ koī pidar khultā hai
parda-e-ishq hai lāzim varna
maiñ idhar aur vo udhar khultā hai
sher-dar-sher kahe jaate haiñ
tab kahīñ jā ke hunar khultā hai
mere nazdīk vo 'abdul-qādir'
puurā khul jaatā hai gar khultā hai
koi diwar na dar khulta hai
par mera azm-e-safar khulta hai
baDi mushkil se wo dar khulta hai
ye alag baat magar khulta hai
hum hi diwane bane phirte hain
kab tera zauq-e-nazar khulta hai
man to ro leti hai lekin yaro
kab yahan koi pidar khulta hai
parda-e-ishq hai lazim warna
main idhar aur wo udhar khulta hai
sher-dar-sher kahe jate hain
tab kahin ja ke hunar khulta hai
mere nazdik wo 'abdul-qadir'
pura khul jata hai gar khulta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.