koi dil bhi nafrat se Khaali nahin hai
koī dil bhī nafrat se ḳhālī nahīñ hai
ḳhudā terī duniyā misālī nahīñ hai
azānoñ kī rasmeñ adā ho rahī haiñ
magar in meñ josh-e-bilālī nahīñ hai
mire ahd ke ālimoñ kī na pūchho
koī bhī to in meñ ġhazālī nahīñ hai
chaman jo mohabbat kā sūkhā paḌā hai
ye vo baaġh hai jis kā maalī nahīñ hai
haqīqat hai rang-e-suḳhan meñ numāyāñ
mirī shā.erī to ḳhayālī nahīñ hai
koi dil bhi nafrat se KHali nahin hai
KHuda teri duniya misali nahin hai
azanon ki rasmen ada ho rahi hain
magar in mein josh-e-bilali nahin hai
mere ahd ke aalimon ki na puchho
koi bhi to in mein ghazali nahin hai
chaman jo mohabbat ka sukha paDa hai
ye wo bagh hai jis ka mali nahin hai
haqiqat hai rang-e-suKHan mein numayan
meri shaeri to KHayali nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.