koi dil ke qarib tha pahle
koī dil ke qarīb thā pahle
kitnā ūñchā nasīb thā pahle
sādgī meñ fareb khaa.e the
haal apnā ajiib thā pahle
aaj lagte haiñ sab rafīq mujhe
saarā aalam raqīb thā pahle
ūñche mahloñ meñ aaj rahtā hai
garche behad ġharīb thā pahle
aaj bhī dost vo nahīñ merā
kaun kis kā habīb thā pahle
gardish-e-vaqt ne kiyā ḳhāmosh
varna 'taskīñ' naqīb thā pahle
koi dil ke qarib tha pahle
kitna uncha nasib tha pahle
sadgi mein fareb khae the
haal apna ajib tha pahle
aaj lagte hain sab rafiq mujhe
sara aalam raqib tha pahle
unche mahlon mein aaj rahta hai
garche behad gharib tha pahle
aaj bhi dost wo nahin mera
kaun kis ka habib tha pahle
gardish-e-waqt ne kiya KHamosh
warna 'taskin' naqib tha pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.