koi din aur baad-e-fana hum yahan
koī din aur bād-e-fanā ham yahāñ
kāTte jaise koī sazā ham yahāñ
saañs kī Dor kamzor hotī huī
tū kahāñ hai batā ai havā ham yahāñ
apnī pahchān ḳhud se chhupā.e hue
pūchhte phir rahe haiñ patā ham yahāñ
rah ga.e ḳhvāb aur un kī halkī kasak
dekhte rah ga.e ratjagā ham yahāñ
ishq ne bārhā ham ko rusvā kiyā
dil ke hāthoñ luTe bārhā ham yahāñ
naqsh thā miT gayā ḳhvāb thā bujh gayā
kyoñ khaḌe haiñ bhalā be-navā ham yahāñ
koi din aur baad-e-fana hum yahan
kaTte jaise koi saza hum yahan
sans ki Dor kamzor hoti hui
tu kahan hai bata ai hawa hum yahan
apni pahchan KHud se chhupae hue
puchhte phir rahe hain pata hum yahan
rah gae KHwab aur un ki halki kasak
dekhte rah gae ratjaga hum yahan
ishq ne barha hum ko ruswa kiya
dil ke hathon luTe barha hum yahan
naqsh tha miT gaya KHwab tha bujh gaya
kyon khaDe hain bhala be-nawa hum yahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.