koi din zabt-e-ulfat ka natija dekh lete hain
koī din zabt-e-ulfat kā natīja dekh lete haiñ
agar chāho to ham ye bhī tamāshā dekh lete haiñ
hameñ dariyā meñ qatre kā nazar aanā bhī mushkil hai
magar ahl-e-nazar qatre meñ dariyā dekh lete haiñ
navāzish hai ki gāhe-gāhe aa jaate ho milne ko
koī din zindagī meñ ham bhī achchhā dekh lete haiñ
kabhī qatre meñ dariyā ko kabhī zarre meñ sahrā ko
ye zālim dekhne vaale bhī kyā kyā dekh lete haiñ
pashemānī to hotī hai hameñ inkār karne se
magar saaqī kā andāz-e-taqāzā dekh lete haiñ
asar dil par nahīñ hotā misāl-e-ā.ina lekin
hameñ jo kuchh dikhātā hai zamānā dekh lete haiñ
vaqār-e-zindagī meñ kuchh izāfa ho hī jaatā hai
kabhī jab ham tumhārā rū-e-zebā dekh lete haiñ
ḳhalish dil se kabhī zauq-e-junūñ kī miT nahīñ saktī
ham ab bhī ghar se uTh kar sū-e-sahrā dekh lete haiñ
baḌī raunaq hai ishq-o-husn kī mahfil meñ ai 'sāhir'
magar ham duur hī rah kar nazāra dekh lete haiñ
koi din zabt-e-ulfat ka natija dekh lete hain
agar chaho to hum ye bhi tamasha dekh lete hain
hamein dariya mein qatre ka nazar aana bhi mushkil hai
magar ahl-e-nazar qatre mein dariya dekh lete hain
nawazish hai ki gahe-gahe aa jate ho milne ko
koi din zindagi mein hum bhi achchha dekh lete hain
kabhi qatre mein dariya ko kabhi zarre mein sahra ko
ye zalim dekhne wale bhi kya kya dekh lete hain
pashemani to hoti hai hamein inkar karne se
magar saqi ka andaz-e-taqaza dekh lete hain
asar dil par nahin hota misal-e-aina lekin
hamein jo kuchh dikhata hai zamana dekh lete hain
waqar-e-zindagi mein kuchh izafa ho hi jata hai
kabhi jab hum tumhaara ru-e-zeba dekh lete hain
KHalish dil se kabhi zauq-e-junun ki miT nahin sakti
hum ab bhi ghar se uTh kar su-e-sahra dekh lete hain
baDi raunaq hai ishq-o-husn ki mahfil mein ai 'sahir'
magar hum dur hi rah kar nazara dekh lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.