koi do-chaar nahin mahw-e-tamasha sab hain
koī do-chār nahīñ mahv-e-tamāshā sab haiñ
mere ehsās kī āvāz pe zinda sab haiñ
koī jugnū koī taara koī sūraj koī chāñd
aur ajab baat ki mahrūm-e-ujālā sab haiñ
us jagah bhī na huī dard kī lazzat mahsūs
maiñ samajhtā thā jahāñ mere shanāsā sab haiñ
yūsuf-e-vaqt pareshān na hote kyūñkar
koī uñglī na kaTī aur zuleḳhā sab haiñ
arsa-e-hashr kī tasvīr ajab hai 'amjad'
be-karāñ bhiiḌ hai aur bhiiḌ meñ tanhā sab haiñ
koi do-chaar nahin mahw-e-tamasha sab hain
mere ehsas ki aawaz pe zinda sab hain
koi jugnu koi tara koi suraj koi chand
aur ajab baat ki mahrum-e-ujala sab hain
us jagah bhi na hui dard ki lazzat mahsus
main samajhta tha jahan mere shanasa sab hain
yusuf-e-waqt pareshan na hote kyunkar
koi ungli na kaTi aur zuleKHa sab hain
arsa-e-hashr ki taswir ajab hai 'amjad'
be-karan bhiD hai aur bhiD mein tanha sab hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.