koi dushman nahin hota bure haalat ke pichhe
koī dushman nahīñ hotā bure hālāt ke pīchhe
koī apnā hī hotā hai kisī bhī ghaat ke pīchhe
faqat itnā kahā thā nā hameñ tum se mohabbat hai
hamārī jaan loge kyā zarā sī baat ke pīchhe
tujhe ma.alūm hai gorī ki bārish kyoñ huī us din
koī ashkoñ se royā thā tirī bārāt ke pīchhe
shikast-e-fāsh dushman ne hameñ aise nahīñ dī hai
tumhārā haath lagtā hai hamārī maat ke pīchhe
koi dushman nahin hota bure haalat ke pichhe
koi apna hi hota hai kisi bhi ghat ke pichhe
faqat itna kaha tha na hamein tum se mohabbat hai
hamari jaan loge kya zara si baat ke pichhe
tujhe malum hai gori ki barish kyon hui us din
koi ashkon se roya tha teri baraat ke pichhe
shikast-e-fash dushman ne hamein aise nahin di hai
tumhaara hath lagta hai hamari mat ke pichhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.