koi dushman nahin hota koi hamdam nahin hota
koi dushman nahin hota koi hamdam nahin hota
Mushtaq Ahmad Mushtaq
MORE BYMushtaq Ahmad Mushtaq
koī dushman nahīñ hotā koī hamdam nahīñ hotā
jo sach kahte haiñ un kā koī bhī parcham nahīñ hotā
bahār aa.e chalī jaa.e koī rut ho badal jaa.e
magar tabdīl terī yaad kā mausam nahīñ hotā
zamīn atrāf kī shādāb ho jaatī hai bārish meñ
jo merī milkiyat meñ hai vo ḳhitta nam nahīñ hotā
yahāñ ke log hañste khelte din raat karte haiñ
ajab ye shahr hai is shahr meñ mātam nahīñ hotā
to kyā ham lauT aa.e haiñ asātīrī zamāne meñ
ki sūraj sar pe hai lekin añdherā kam nahīñ hotā
humā kā saaya paḌ jaa.e hamāre din badal jaa.eñ
ye bāteñ karte haiñ vo log jin meñ dam nahīñ hotā
koi dushman nahin hota koi hamdam nahin hota
jo sach kahte hain un ka koi bhi parcham nahin hota
bahaar aae chali jae koi rut ho badal jae
magar tabdil teri yaad ka mausam nahin hota
zamin atraf ki shadab ho jati hai barish mein
jo meri milkiyat mein hai wo KHitta nam nahin hota
yahan ke log hanste khelte din raat karte hain
ajab ye shahr hai is shahr mein matam nahin hota
to kya hum lauT aae hain asatiri zamane mein
ki suraj sar pe hai lekin andhera kam nahin hota
huma ka saya paD jae hamare din badal jaen
ye baaten karte hain wo log jin mein dam nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.