koi ehsas-e-tamanna nahin rahne wala
koī ehsās-e-tamannā nahīñ rahne vaalā
ishq meñ koī kahīñ kā nahīñ rahne vaalā
is ko manzūr hai sahrāoñ meñ rahnā lekin
dil tire dil meñ dobāra nahīñ rahne vaalā
jo shajar chhoḌ ke jaatā hai parinda sun le
āsmāñ meñ bhī hamesha nahīñ rahne vaalā
mere maazī se mirī ab bhī bahut bantī hai
maiñ kisī haal meñ tanhā nahīñ rahne vaalā
shart ye hai ki rahe rūh-o-badan ek jagah
maiñ kisī rishte meñ varna nahīñ rahne vaalā
sochtā huuñ ki ab is jism meñ rahnā chhoḌūñ
sab ko shikva hai ki achchhā nahīñ rahne vaalā
lag hī jā.egī mujhe bhī kisī pyāse kī duā
maiñ hamesha hī to sahrā nahīñ rahne vaalā
itnī raftār se ghaTtā huuñ ki aane vaale
ek bhī shaḳhs kā hissa nahīñ rahne vaalā
ai mere dost ab is TuuTe hue rishte meñ
maiñ to rah jā.ūñ bharosa nahīñ rahne vaalā
koi ehsas-e-tamanna nahin rahne wala
ishq mein koi kahin ka nahin rahne wala
is ko manzur hai sahraon mein rahna lekin
dil tere dil mein dobara nahin rahne wala
jo shajar chhoD ke jata hai parinda sun le
aasman mein bhi hamesha nahin rahne wala
mere mazi se meri ab bhi bahut banti hai
main kisi haal mein tanha nahin rahne wala
shart ye hai ki rahe ruh-o-badan ek jagah
main kisi rishte mein warna nahin rahne wala
sochta hun ki ab is jism mein rahna chhoDun
sab ko shikwa hai ki achchha nahin rahne wala
lag hi jaegi mujhe bhi kisi pyase ki dua
main hamesha hi to sahra nahin rahne wala
itni raftar se ghaTta hun ki aane wale
ek bhi shaKHs ka hissa nahin rahne wala
ai mere dost ab is TuTe hue rishte mein
main to rah jaun bharosa nahin rahne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.