koi fihrist lafzon ki ya google ko khangalega
koī fihrist lafzoñ kī yā gōgle ko khañgālegā
vo merī chup se ab koī nayā matlab nikālegā
muqābil kar diyā us ke agar ā.īna maiñ ne to
zabāñ se zahr uglegā koī patthar uThā legā
mujhe ma.alūm hai us tak to ḳhālī ḳhat hī jā.egā
mirā qāsid hī dīmak ban ke lafzoñ ko uḌā legā
zarā dāman ko phailāyā ka.ī logoñ ne dukh Daale
maiñ samjhī thī koī hamdard mere ġham uThā legā
khaḌe the log sāhil par tamāshā dekhne vaale
maiñ ḳhush-fahmī meñ Duubī thī koī aa kar bachā legā
apāhij saarī duniyā hai koī andhā koī bahrā
koī māñge mire sapne koī āñkheñ churā legā
mujhe is dil ke zindāñ se hai behtar aañkh kā dariyā
Dubo.egā ye paanī gar to lāsheñ bhī uchhālegā
lab-e-sāhil to aate haiñ faqat kuchh ḳhol sīpoñ ke
jo gahrā.ī meñ jā.egā vahī gauhar nikālegā
kisī miTTī ko gūñdhegā kahīñ patthar tarāshegā
hunar hai us ke hāthoñ meñ na.ī 'fauzī' banā legā
koi fihrist lafzon ki ya google ko khangalega
wo meri chup se ab koi naya matlab nikalega
muqabil kar diya us ke agar aaina main ne to
zaban se zahr uglega koi patthar uTha lega
mujhe malum hai us tak to KHali KHat hi jaega
mera qasid hi dimak ban ke lafzon ko uDa lega
zara daman ko phailaya kai logon ne dukh Dale
main samjhi thi koi hamdard mere gham uTha lega
khaDe the log sahil par tamasha dekhne wale
main KHush-fahmi mein Dubi thi koi aa kar bacha lega
apahij sari duniya hai koi andha koi bahra
koi mange mere sapne koi aankhen chura lega
mujhe is dil ke zindan se hai behtar aankh ka dariya
Duboega ye pani gar to lashen bhi uchhaalega
lab-e-sahil to aate hain faqat kuchh KHol sipon ke
jo gahrai mein jaega wahi gauhar nikalega
kisi miTTi ko gundhega kahin patthar tarashega
hunar hai us ke hathon mein nai 'fauzi' bana lega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.