koi fikr na koi gham hai
koī fikr na koī ġham hai
mere saath mirā hamdam hai
us ke takallum meñ hai tarannum
aur tarannum meñ sargam hai
aag lagā de aag bujhā de
vo sho.ala hai vo shabnam hai
abhī kahāñ suljhe haiñ masā.il
abhī tirī zulfoñ meñ ḳham hai
log jise kahte haiñ manzil
vo bhī qaid-e-besh-o-kam hai
mil jaa.e taskīn jahāñ par
'pankaj' vo hī rashk-e-iram hai
koi fikr na koi gham hai
mere sath mera hamdam hai
us ke takallum mein hai tarannum
aur tarannum mein sargam hai
aag laga de aag bujha de
wo shoala hai wo shabnam hai
abhi kahan suljhe hain masail
abhi teri zulfon mein KHam hai
log jise kahte hain manzil
wo bhi qaid-e-besh-o-kam hai
mil jae taskin jahan par
'pankaj' wo hi rashk-e-iram hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.