koi fitna koi fusun bhi nahin
koī fitna koī fusūñ bhī nahīñ
zindagī hai ki pur-sukūñ bhī nahīñ
ghar meñ sahrā meñ imtiyāz to kar
ab to hangāma-e-junūñ bhī nahīñ
kal talak thā jo saath saath mere
ab vo ik lamha-e-sukūñ bhī nahīñ
hosh jab de rahā ho dars-e-vafā
kyā karūñ maiñ jo chup rahūñ bhī nahīñ
kyā sitam hai ki āj-kal maiñ 'rasā'
kuchh kahūñ bhī nahīñ sunūñ bhī nahīñ
koi fitna koi fusun bhi nahin
zindagi hai ki pur-sukun bhi nahin
ghar mein sahra mein imtiyaz to kar
ab to hangama-e-junun bhi nahin
kal talak tha jo sath sath mere
ab wo ek lamha-e-sukun bhi nahin
hosh jab de raha ho dars-e-wafa
kya karun main jo chup rahun bhi nahin
kya sitam hai ki aaj-kal main 'rasa'
kuchh kahun bhi nahin sunun bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.