koi gila na koi shikayat karenge hum
koī gila na koī shikāyat kareñge ham
zālim tire ḳhilāf baġhāvat kareñge ham
ai rahbarān-e-qaum hameñ chhoḌ jaao tum
ḳhud apne qāfile kī qayādat kareñge ham
jaao tumhārī koī zarūrat nahīñ hai ab
urdu zabāñ kī ḳhud hī hifāzat kareñge ham
auqāf kī zamīñ ke muhāfiz bhī kah uThe
mauqa milā hai is meñ ḳhayānat kareñge ham
haq māñgne ke vāste aivān jā.eñge
apnī suneñ to phir na sharārat kareñge ham
qātil hameñ bhī qatl kare to kare magar
mazlūm kī zarūr himāyat kareñge ham
anjām kuchh bhī hone do parvā nahīñ hai ab
zālim kī ai 'ziyā' na itā.at kareñge ham
koi gila na koi shikayat karenge hum
zalim tere KHilaf baghawat karenge hum
ai rahbaran-e-qaum hamein chhoD jao tum
KHud apne qafile ki qayaadat karenge hum
jao tumhaari koi zarurat nahin hai ab
urdu zaban ki KHud hi hifazat karenge hum
auqaf ki zamin ke muhafiz bhi kah uThe
mauqa mila hai is mein KHayanat karenge hum
haq mangne ke waste aiwan jaenge
apni sunen to phir na shararat karenge hum
qatil hamein bhi qatl kare to kare magar
mazlum ki zarur himayat karenge hum
anjam kuchh bhi hone do parwa nahin hai ab
zalim ki ai 'ziya' na itaat karenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.