koi habib koi mehrban to hai hi nahin
koī habīb koī mehrbāñ to hai hī nahīñ
hamāre sar pe koī āsmāñ to hai hī nahīñ
jo ek aks-e-haqīqat hai TuuT jaa.e agar
pata chale ki jahāñ meñ jahāñ to hai hī nahīñ
maiñ ek umr se rab kī talāsh kartā huuñ
jahāñ pe us kā nishāñ thā vahāñ to hai hī nahīñ
har ek zulm ko chup-chāp sah rahe haiñ sabhī
ma.āshre meñ koī bā-zabāñ to hai hī nahīñ
ye ashk-e-ġham kā fasāna sunā ke mānegā
kisī bhī taur mirā rāzdāñ to hai hī nahīñ
karoge ishq to jānoge ġhaib ko 'kāfir'
har ek raaz hai zāhir nihāñ to hai hī nahīñ
koi habib koi mehrban to hai hi nahin
hamare sar pe koi aasman to hai hi nahin
jo ek aks-e-haqiqat hai TuT jae agar
pata chale ki jahan mein jahan to hai hi nahin
main ek umr se rab ki talash karta hun
jahan pe us ka nishan tha wahan to hai hi nahin
har ek zulm ko chup-chap sah rahe hain sabhi
maashre mein koi ba-zaban to hai hi nahin
ye ashk-e-gham ka fasana suna ke manega
kisi bhi taur mera raazdan to hai hi nahin
karoge ishq to jaanoge ghaib ko 'kafir'
har ek raaz hai zahir nihan to hai hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.