koi hai baam par dekha to jae
koī hai baam par dekhā to jaa.e
ujāle kā safar dekhā to jaa.e
charāġh-e-chashm-e-tar dekhā to jaa.e
mohabbat kā asar dekhā to jaa.e
jo bāl-o-par pe nāzāñ ho rahe haiñ
unheñ be-bāl-o-par dekhā to jaa.e
ye naqsha mustarad to ho chukā hai
magar bār-e-digar dekhā to jaa.e
ġhamoñ kī dhuup meñ lab par tabassum
ye jiine kā hunar dekhā to jaa.e
havā-e-tund barg-e-be-shajar ko
uḌātī hai kidhar dekhā to jaa.e
hamārī hausla-mandī ko 'tāriq'
miyān-e-ḳhair-o-shar dekhā to jaa.e
koi hai baam par dekha to jae
ujale ka safar dekha to jae
charagh-e-chashm-e-tar dekha to jae
mohabbat ka asar dekha to jae
jo baal-o-par pe nazan ho rahe hain
unhen be-baal-o-par dekha to jae
ye naqsha mustarad to ho chuka hai
magar bar-e-digar dekha to jae
ghamon ki dhup mein lab par tabassum
ye jine ka hunar dekha to jae
hawa-e-tund barg-e-be-shajar ko
uDati hai kidhar dekha to jae
hamari hausla-mandi ko 'tariq'
miyan-e-KHair-o-shar dekha to jae
- Book : Reyazat-e-Neem Shab (Ghazal Collection) (Pg. 123)
- Author : Tarique Matin
- Publication : Educational Publishing House (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.