koi hai baat kai bar bulate hain mujhe
koī hai baat ka.ī baar bulāte haiñ mujhe
bāñTne ġham mirā ġham-ḳhvār bulāte haiñ mujhe
fasl shādāb hai ulfat kī zamīñ par apnī
shahr ke saare zamīñ-dār bulāte haiñ mujhe
achchhe dāmoñ meñ zamīr apnā nikal jaatā par
bas samajh-dār ḳharīdār bulāte haiñ mujhe
mere rone pe hañsī jin ko bahut aatī hai
un ko lagtā huuñ mazedār bulāte haiñ mujhe
tujh se milne nahīñ aayā to yahī vaj.h thī bas
terī mahfil meñ gunahgār bulāte haiñ mujhe
koi hai baat kai bar bulate hain mujhe
banTne gham mera gham-KHwar bulate hain mujhe
fasl shadab hai ulfat ki zamin par apni
shahr ke sare zamin-dar bulate hain mujhe
achchhe damon mein zamir apna nikal jata par
bas samajh-dar KHaridar bulate hain mujhe
mere rone pe hansi jin ko bahut aati hai
un ko lagta hun mazedar bulate hain mujhe
tujh se milne nahin aaya to yahi wajh thi bas
teri mahfil mein gunahgar bulate hain mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.